Full Lyrics of Unki mehek ne dil ke gunche khila diye hai(written by Imam-e-Ahle Sunnat mujaddide deeno millat ash-shah imam Ahmed Raza khan Radi Allahu anhu

Unki mahek ne dil ke Ghunche khila diye hain Jis raah chal gaye hain Koochey basa diye hain 
 
Jab aa gayi he joshe rehmat pe unki ankhen Jalte bhujha diye hain rote hasa diye hain 
 
Ik dil hamara kya hai aazaar uska kitna Tum ne to chalte phirte moorde jila diye hain 
 
Unke nisaar koyee kaise hi runj mein ho Jab yaad agaye hain sab gham bhula diye hain
 
Gumse Faqir Bhi Abb Fehri Ko Oothte Honge, Abb To Gani Ke Dar Pe Bistar Jama Diye Hai. 
 
Asra May Guzre Jis Dam Baide Pe Qudsiyo Ke Hone Lagi Salami Parcham Jhooka Diye Hai. 
 
Aane do ya dubo do ab to Tumhari Jaanib Kashti tumhi pe chori Langar utha diye hain 
 
Dulha se itna kehdo pyare sawari roko Mushkil mein hain Baraati poorkhaar vadiye hain 
 
Allah kya Jahannam ab bhi na sard hoga Ro ro ke Mustafa ne darya baha diye hain 
 
Mere Kareem se gar qatra kisi ne maanga Darya baha diye hain dur be baha diye hain
 
Mulke sukhan ki shahi tum ko 'Raza' musallam Jis simt aagaye ho sikke bitha diye hain
 

"Shehzaadae Ala Hazrat Huzoor Mufti-e-aazam alaihirehma"

 
Kaval kaval Samar Samar huzoor sadqe aap par .. Kali kali shajar shajar huzoor sadqe aap par Kiran kiran pawan pawan chaman chaman zaman zaman daman daman nagar nagar huzoor sadqe ap par Chamak chamak damak damak mahak mahak lahak lahak chahak chahak asar asar huzoor sadqe ap par
Zare jahaan ye sinatan ye abdare motiya, Sadaq sadaq, gohar gohar huzoor sadqe ap par... Jabeen jabeen kadam kadam zabaan zabaa badan badan Nafas nafas nzar nazar huzoor sadqe aap par,
Nisar sare auliaa fida hai sare sufiyaa Malak malak bashar bashar huzoor sadqe ap par 
Dahan fida zabaan fida ye dil fida ye Jan fida ujagare hazi kasar huzoor sadqe ap par.. 
 

"Ash-shah imam Ahmed raza faazile barelwi radiyallahu ta'ala anhu kalaam:" 

 
Sabse Aula Wo A'ala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Sabse Baala Wo Waala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Dono A'alam Ka Dulha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Bazme Aakhir Ka Shamae Faraouza Hua Noor-E-Awwal Ka Jalwah Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Jinke Jaane se arsh e khuda par Juloos hai wo sultane aala hamara nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley Shama'a Woh Le Kar Aaya  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Jinke Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
 
Arsh o kursi ki thi Aa ina bandiya Sue arsh jab sidha ra hamara nabi صلی اللہ علیہ وسلم
 
Khalq Se Auliyah, Auliyah Se Rasool, Aur Rasoolon Se A'ala  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Husn Khaata Hain Jinke Namak Ki Qasam Woh Maleehe Dilaara Hamara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
 
Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkur Ho Namakeen Husn Waala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi, Inka Unka Tumhara  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
 
Karno Badli Rasoolo KiHoti Rahi Chaand Badli Ka Nikla Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Mangne walo hmko to u chaiye Mangna or kisi se b q chaiye Kaun Deta Hain Dene Ko Muh Chahiye Deene Waala Hai Sachha  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
 Fazle rabbul aula or kya chaiye Milgae mustafa or kya chaiye Damane mustafa jinke hatho me ho unko roze jaza or kya chaiye Q kahu ye ata wo ata wo ata ye ata chahiye Unko malum hai Humko kya chahiye.
 
Balki jo b gani mere sarkar صلی اللہ علیہ وسلم  ne muskura kar kaha or Kya chahiye.. 
 
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar Taajdaro Ka Aaqa Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
LA Makaa Tak Ujala Hai Jisko Wo Hain Har Makaa Ka Ujala Hamara Nabi 
صلی اللہ علیہ وسلم 
 
 Saare accho Mein accha Samajhiye Jise Hai Uss acche Se accha  Hamara Nabi
 صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Ambiya se kro arz q maaliko Kya nabi hai tumhara hamara nabi....صلی اللہ علیہ وسلم 
  
Jisne tukde kiye ho qamar ke.. Wo hai noore rehmat ka tukda hamara nabi..
 صلی اللہ علیہ وسلم
 
Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye Andhe Sheesho Mein Chamka  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
 
Jisne murda dilo ko di umr e Abad... Hai wo Jaane maseeha hamara nabi sallallahu Alaihi wasalllam Gamzado Ko Raza Mushda-Di-Je Ke Hain Be-Kasoon Ka Sahara  Hamara Nabi 
صلی اللہ علیہ وسلم
 
<Do share If you Like>

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Wah kya Jood o Karam hay, shah e bat'ha tera written by Imam Ahmed Raza khan Radiallahu Anhu with correct lyrics