Full Lyrics of Unki mehek ne dil ke gunche khila diye hai(written by Imam-e-Ahle Sunnat mujaddide deeno millat ash-shah imam Ahmed Raza khan Radi Allahu anhu
Unki mahek ne dil ke Ghunche khila diye hain
Jis raah chal gaye hain Koochey basa diye hain
Jab aa gayi he joshe rehmat pe unki ankhen
Jalte bhujha diye hain rote hasa diye hain
Ik dil hamara kya hai aazaar uska kitna
Tum ne to chalte phirte moorde jila diye hain
Unke nisaar koyee kaise hi runj mein ho
Jab yaad agaye hain sab gham bhula diye hain
Gumse Faqir Bhi Abb Fehri Ko Oothte Honge,
Abb To Gani Ke Dar Pe Bistar Jama Diye Hai.
Asra May Guzre Jis Dam Baide Pe Qudsiyo Ke
Hone Lagi Salami Parcham Jhooka Diye Hai.
Aane do ya dubo do ab to Tumhari Jaanib
Kashti tumhi pe chori Langar utha diye hain
Dulha se itna kehdo pyare sawari roko
Mushkil mein hain Baraati poorkhaar vadiye hain
Allah kya Jahannam ab bhi na sard hoga
Ro ro ke Mustafa ne darya baha diye hain
Mere Kareem se gar qatra kisi ne maanga
Darya baha diye hain dur be baha diye hain
Mulke sukhan ki shahi tum ko 'Raza' musallam
Jis simt aagaye ho sikke bitha diye hain
"Shehzaadae Ala Hazrat Huzoor Mufti-e-aazam alaihirehma"
Kaval kaval Samar Samar huzoor sadqe aap par ..
Kali kali shajar shajar huzoor sadqe aap par
Kiran kiran pawan pawan chaman chaman zaman zaman daman daman nagar nagar huzoor sadqe ap par
Chamak chamak damak damak mahak mahak lahak lahak chahak chahak asar asar huzoor sadqe ap par
Zare jahaan ye sinatan ye abdare motiya,
Sadaq sadaq, gohar gohar huzoor sadqe ap par...
Jabeen jabeen kadam kadam zabaan zabaa badan badan
Nafas nafas nzar nazar huzoor sadqe aap par,
Nisar sare auliaa fida hai sare sufiyaa
Malak malak bashar bashar huzoor sadqe ap par
Dahan fida zabaan fida ye dil fida ye Jan fida ujagare hazi kasar huzoor sadqe ap par..
"Ash-shah imam Ahmed raza faazile barelwi radiyallahu ta'ala anhu kalaam:"
Sabse Aula Wo A'ala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Sabse Baala Wo Waala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Dono A'alam Ka Dulha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Bazme Aakhir Ka Shamae Faraouza Hua
Noor-E-Awwal Ka Jalwah Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Jinke Jaane se arsh e khuda par
Juloos hai wo sultane aala hamara nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley
Shama'a Woh Le Kar Aaya Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Jinke Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat
Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Arsh o kursi ki thi Aa ina bandiya
Sue arsh jab sidha ra hamara nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Khalq Se Auliyah, Auliyah Se Rasool,
Aur Rasoolon Se A'ala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Husn Khaata Hain Jinke Namak Ki Qasam
Woh Maleehe Dilaara Hamara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkur Ho
Namakeen Husn Waala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel
Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi,
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Karno Badli Rasoolo KiHoti Rahi
Chaand Badli Ka Nikla Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Mangne walo hmko to u chaiye
Mangna or kisi se b q chaiye
Kaun Deta Hain Dene Ko Muh Chahiye
Deene Waala Hai Sachha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Fazle rabbul aula or kya chaiye
Milgae mustafa or kya chaiye
Damane mustafa jinke hatho me ho unko roze jaza or kya chaiye
Q kahu ye ata wo ata wo ata ye ata chahiye
Unko malum hai Humko kya chahiye.
Balki jo b gani mere sarkar صلی اللہ علیہ وسلم ne muskura kar kaha or Kya chahiye..
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar
Taajdaro Ka Aaqa Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
LA Makaa Tak Ujala Hai Jisko Wo Hain
Har Makaa Ka Ujala Hamara Nabi
صلی اللہ علیہ وسلم
Saare accho Mein accha Samajhiye Jise
Hai Uss acche Se accha Hamara Nabi
صلی اللہ علیہ وسلم
Ambiya se kro arz q maaliko
Kya nabi hai tumhara hamara nabi....صلی اللہ علیہ وسلم
Jisne tukde kiye ho qamar ke..
Wo hai noore rehmat ka tukda hamara nabi..
صلی اللہ علیہ وسلم
Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye
Andhe Sheesho Mein Chamka Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Jisne murda dilo ko di umr e Abad...
Hai wo Jaane maseeha hamara nabi sallallahu Alaihi wasalllam
Gamzado Ko Raza Mushda-Di-Je Ke Hain
Be-Kasoon Ka Sahara Hamara Nabi
صلی اللہ علیہ وسلم
<Do share If you Like>
Thank you for visiting
ReplyDeletegood
ReplyDelete